Sawal Jawab Shairy - Zindagi

Dard se rishta hai mera khushi mere naseeb main nahi,
Koi humse bhi pyar kare itne hum khushnaseeb nahi..!

===========

Tum jise dekh lo peene ki Zaroorat kya hai,
Zindagi bhar jo rahe aisa nasha lagte ho.

===========

Main ne mehsoos kiya tum se baatein kar ke,
Tum zamaane me zamaane se juda lagte ho. "

===========

Gamon ko jo Hansi ke dhagon se si lete hain,
Zindagi main wo zinda-dili se jee lete hain,
Ashkon ka ye tohfa bhi khub mila hai,
Hum to ansuon ko bhi teri sogat samajh kar pi lete hain..!

===========

Taqdeer badal jati hai jab Zindagi ka ho Koi maqsad,
Warna Zindagi kat jati hai Taqdeer ko ilzaam detey dete. "

===========

Aansu ki bunde he ya aankhon main nami hai,
Na uper aasman hai na niche zami hai,
Ye kaisa mod he zindagi ka,
Aapki hi zarurat hai or aapki hi kami he..!

===========

Korey kaagaz ki tarah Zindagi apni thahri.
Koi likhta bhi nahi,  Koi jalaata bhi nahi. "
===========


Samandar se keh do,  apni mauje sambhaal ke rakkhe.
Yaha log hi kaafi hai Zindagi me toofaan lane ke liye.

===========

===========

Looking for something just Ask Uncle Cruise from Contact Us Page on Right side. Send your request and Interesting mails on unclecruise@gmail.com Posted On: http://unclecruise.blogspot.com/

Top Bollywood dialogues

Tera kya hoga kaliya - Sholay

Main aur meri tanhai aksar yeh baate karte hain... - Silsila

Rishte me hum tumhare baap lagte hai, naam hai Shahenshah - Shahenshah

Tumhare paas kya hai? Mere paas Ma hai - Deewar

I can talk English, I can walk English, I can laugh English, because English is a funny language - Namak Halal

Tareekh pe tareekh milti rahi hai lekin insaaf nahin milta. Milti hai to sirf tareekh... - Damini

Anarkali, Salim ki mohabbat tumhe marne nahin degi aur hum tumhe jeene nahin denge.-Mughal-E-Azam



Looking for something just Ask Uncle Cruise from Contact Us Page on Right side.

Send your request and Interesting mails on unclecruise@gmail.com

Posted On: http://unclecruise.blogspot.com/

Main bachpan ko bula rahi thee, Bol uthi bitiya meri

Main bachpan ko bula rahi thee, Bol uthi bitiya meri
Nandan-van si fool uthi, yeh chhoti si kutiya meri

Ma O! keh kar bula rahi thee, mitti kha kar aai thee
Kuchh moonh mein, kuchh liye haath mein, mujhe khilaane laai thee

Pulak rahe the ang, drigo mein, kautu-hal tha chhalak raha
Moonh par thee alh-laad laalima, vijay-garv tha jhalak raha

Maine poochha "yeh kya laai?", bol uthi weh "Maa kaao"
Hua prafullalit hriday khushi se, maine kaha "tum hi khaao

Paaya maine bachpan phir se, bachpan beti ban kar aaya
Uski manjul moorti dekh kar, mujh mein nav-jeevan aaya

Main bhi uske saath khelti hoon, tut-laati hoon
Mil kar uske saath, swayam main bhi bachchi ban jaati hoon

Jise khojti thee barso se, ab jaa kar usko paya
Bhaag gaya tha mujhe chhod kar, weh bachpan fir se aaya!



Looking for something just Ask Uncle Cruise from Contact Us Page on Right side.

Send your request and Interesting mails on unclecruise@gmail.com

Posted On: http://unclecruise.blogspot.com/

Meaning of "Gar firdaus, ruhe zamin ast, hamin asto, hamin asto, hamin asto"

Hello Uncle Cruise,

Could you please tell me what is the meaning of "Gar firdaus, ruhe zamin ast, hamin asto, hamin asto, hamin asto" ? I have heard these lines in Bollywood movies.

Shankar

------------------------------------------------------------------------------------------------

Shankar,

This is famous couplet written in Persian language to praise the beauty of Kashmir valley. The valley of Kashmir, in which Srinagar is located, is also referred to as being a heaven on earth.

The Mughal emperor Jahangir was so captivated by the beauty of this valley that he exclaimed -

"Gar firdaus, ruhe zamin ast, hamin asto, hamin asto, hamin asto" (If there is a heaven on earth, it's here, it's here, it's here).



Looking for something just Ask Uncle Cruise from Contact Us Page on Right side.

Send your request and Interesting mails on unclecruise@gmail.com

Posted On: http://unclecruise.blogspot.com/

Watch Indian TV Ads

Ads In TV