Ajeeb shaqs tha khwabon ki bat karta tha
wo teergi (andhere) men ujalon ki bat karta tha
Wo mere dil men basa tha khamoshiyon ki tarah
magar wo shor ki saazon ki bat karta tha
Har ek bat men uski mahak thi phoolon ki
khizan ke beech baharon ki bat karta tha
Thi aasman ki bulandi pe bas nazar uski
zamin pe baith sitaron ki bat karta tha
Hatheliyon pe wo ummeed le ke chalta tha
ghamon ke daur men khushiyon ki bat karta tha
Mili thi usko bhi bas ek zindagi phir bhi
wo jane kitne zamanon ki bat karta tha
Thi uske seene men himmat kamal ki shayad
bhanwar men rahke kinaron ki bat karta tha
Yaqin se kahta tha sahra men barishen hongi
ki dhoop men bhi ghtaon ki bat karta tha
'Hina' wo kho gaya duniya ki bheed men lekin
wafa ki, dil ki, jo wadon ki bat karta tha
Looking for something just Ask Uncle Cruise from Contact Us Page on Right side.
Send your request and Interesting mails on unclecruise@gmail.com
Posted On: http://unclecruise.blogspot.com/
didnt undrstud d end.........
ReplyDeletebut, above part is really ausumn......
The ends says that "Oh Hina (Name of Poet), hum ne uss shaqs ko kho diya hai... jo mohabbat ki, dil ki baat karta tha..."
ReplyDeleteVery Nice Poem :)