Shairy on the recent Mumbai Attacked 26/11.......
aaj ke daur mein ae dost ye manzar kyoon hai.
zakhm har sar pe har haath mein paththar kyoon hai
jab haqeeqat hai ke har zarre mein tu rehta hai
fir zamin par kahin masjid kahin mandir kyoon hai
apna anjaam to maaloom hai sabko phir bhi
apnee nazron mein har insaan sikandar kyoon hai
zindagi jeene ke qaabil hi nahin ab ae dost
warna har aankh mein ashkon ka samandar kyoon hai

………… ……… ……… ……… ……… ……… ……… ……… ……… ……… ……… ……..
apne chehre se jo zaahir hai chupaayen kaise
teri marzi ke mutaabik nazar aayen kaise
ghar sajaane ka tasawwur bahut baad ka hai
pehle ye tay ho ke is ghar ko bachchayen kaise
kahkaha aankhon ka bartaav badal deta hai
hansne waale tujhe aahsoo nazar aayen kaise
koi apnee hi nazar se to hume dekhega
ek qatre hain samandar nazar aayen kaise

Looking for something just Ask Uncle Cruise from Contact Us Page on Right side.
Send your request and Interesting mails on unclecruise@gmail.com
Posted On: http://unclecruise.blogspot.com/
No comments:
Post a Comment