Lyrics Of The Title Track
Srishti se pehle sat nahin thaa, asat bhi nahinAntariksh bhi nahin, aakaash bhee nahin thaa.
Chhipaa thaa kyaa, kahaan, kisne dhaka thaa?
Us pal to agam, atal jal bhi kahaan thaa.
Shrishti kaa kaun hain kartaa?
Kartaa hain yeh vaa akartaa?
Oonche aakash mein rahtaa.
Sadaaa adhyaksh banaa rahtaa.
Wohee sach much mein jaantaa..Yaa nahin bhi jaanataa
Hain kisi ko nahin pataa,
Nahin pataa,
Nahin hai pataa, nahin hai pataa.
Voh tha hiranya garbh srishti se pehle vidyamaan.
Vohi to saare bhoot jaatee ka swami mahaan.
jo hai astitvamaana dharti aasmaan dhaaran kar.
Aise kis devta ki upasana kare hum havi dekar?
Jis ke bal par tejomay hai ambar.
Prithvi hari bhari sthapit sthir.
Swarg aur sooraj bhi sthir.
Aise kis devta ki upasana kare hum havi dekar?
Garbh mein apne agni dhaaran kar paida kar,
Vyapa tha jal idhar udhar neeche upar,
Jagaa chuke vo ka ekameva pran bankar,
Aise kis devta ki upasana kare hum havi dekar?
Om ! Srishti nirmata swarg rachaiyta purvaj rakhsa kar.
Satya dharma palak atul jal niyamak raksha kar.
Phaili hain dishayen bahu jaisi uski sab mein sab par,
Aise hi devta ki upasana kare hum havi dekar,
Aise hi devta ki upasana kare hum havi dekar.
More: http://en.wikipedia.org/wiki/Bharat_Ek_Khoj
No comments:
Post a Comment